Tanha Poetry & Quotes
Mein kuch bhi nhi na khush na ghamzada mein bas bezar hun iss duniya sy yahan k logon sy aur inn k riwajon sy... |
Zehni Har adhi mout hoti hai aur shayad mein adhi marchuki hun |
Har koi pareshan hai meray kam bolnay sy aur mein tang hun apnay ander k shour sy |
Kitabein sankron padh li Meinay magr yeh ramz na jani koi apna bechar jaye tu kesay sabar kartay |
Mansob thay Jo log Meri zindgi k sath aksar wohi milaye hein badhi berukhi k sath |
Hum nay azad kardiye kae manpasand log apnay.. |
Woh mera hai bhi nhi iss par sitam yeh usko khonay ka gham khaye jaraha hai.. |
Khud ko itna mazbot kar lejiye k badltay howaye mosam aur badltay howaye log ap par asar na chor sakein.. |
Kabhi todha kabhi jora kabhi phr todh kar jora nakara kardiya dil ko teri pewand kari nay |
Tunay rasta badal liya warna hum tere sath dor tak jatay. |
Aye hasil e khalous bata kiya jawab dun yeh duniya pochti hai k mein udas kyn hun.. |
EmoticonEmoticon