Home
Quotes
Top 25 Most Inspirational quotes in urdu
Top 25 Most Inspirational quotes in urdu
Top 25 Most Inspirational quotes in urdu
Kabhi kabhi zindgi humara imtehan lenay py ajati hai aur woh bhi pori taqat k sath imtehan bhi aesa k na kisi ko bataya jasakye na madad li jasakye..
Dokha aur dukh uswaqt intahae shaded hotaye hein jab woh iss shaks ki janib sy milein jis py humein bohat gehra maan hota hai.
ilm ki sab sy badhi dushman jahalat nahi balkay sab malom honaye ki khush fehmi hai..
Do fiysad Log Sochtye hein teen fisad log samjhtye hein k woh sochtye hein air 95 fisad log sochnay par mout ko targeh detaye hein..
Hum woh Pagal hein k hathon sy ganwa k heerye hath miltaye bhi nhi sog manatye bhi nhi..
Zindgi ko samjhna hai tu pechye dekho aur zindgi ko jena hai tu agaye dekho...
Soch samjh kar bola karo alfaz naslon ka taruf karwa detye hein..
Maf karnaye ka yeh matlab nhi k isko galye sy lagaya jaye us ko dost bana liya jaye sirf ek ahad karna hota hai k jo azeyat iss nay mujhey di woh mein nay isko nhi deni.
Meinay badtamez logon sy tamez sekhi batuni logon sy khamoshi sekhi aur beadab logon sy adab sekha hai..
Duniya mein Sab sy zyda nafraton ka samna sach bolnye walon ko karna padhta hai..
Samjhdari ki batein do hi log kartye hein ek zyda umer walye dosra jinhon nay kam umari mein bohat mushkalat dekhi hun..
Molana rumi sy kisi nay pocha zehar kiya hai? har woh chez jo humari zrorat sy zyda ho zehr hai jesay qouat aktadar dolat bhok lalach muhabat nafrat..
Kon kiya kar raha hai kesay kar raha hai kyn kar raha hai un sab sy ap jitna dur raho gaye utna hi khush raho gaye..
Kisi insan mein khubi dekho tu usay biyan karo lekin agar khami dekho tu wahan tumhari khubi ka imtehan hai..
Apna ghum har kisi ko mat bataein kyn k marham har ghar mein ho na hu namak zror hota hai.
Gehri batein samjhnay k liye gehra hona padhta hai aur gehra honaye k liye gehri chotein khani padhti hein..
ARastu sy kisi nay kaha k mein nay ek mutbar admi sy tumharye baraye mein kuch ghalt batein suni hein..arsatu nay jawab diya gehbat karnay wala mutbar kesay hogaya..
Dilon mein khuf tha na dhashton ka pehra tha meraye khayal mein yeh dard hi sunehra tha..
Apni baton ko pani k katron sy zyda safaf rakho kyn k jis tarah qatray sy darya banta hai usi tarah baton sy kirdar banta hai.
Aksar kehtaye hein ek zara si baat par taluk tut gaya iss zara si bat k pechye bohat si badhi batein hoti hein woh zara si baat darasal bardasht ki akhri hadh hoti hai..
Shart lagi thi duniya ko ek lafz mein likhnaye ki log kitabein dhondhtye rahye mein nay maan likh diya..
Apnaye Walid sy Humkalam raho youn woh bodha jawan rehta hai..