Mirza Ghalib Shayari In Urdu
Meet Mirza Ghalib, a famous Urdu poet, who expressed feelings beautifully in his shayari. His words are like a colorful painting of love, pain, and life's lessons. Let's explore 34 of his heart-touching shayari in Urdu, which will surely leave you mesmerized.
Unko dekhaye sy jo ajati hai moun par ronaq woh samjhtay hein k bemar ka hal acha hai, |
Na tha kuch tu khuda tha kuch na hota tu khuda hota dubaya mujh ko honay nay na hota mein tu kiya hota |
So bar bandye ishq sy azad hum howye par kiya karein k dil hi adad hai firagh ka. |
howaye hein paon hi pehlye nambard ishq mein zakhmi na bhaga jaye hai mujh sy na thera jaye hai mujh sy. |
Kabhi jo yaad bhi ata hun mein tu kehtay hein k aaj bazm mein kuch fitna wa fasad nhi
Khob tha pehlye sy hotaye jo hum apnay badkhwa k bhala chahtye hein aur bura hota hai. |
Hum ko malom hai janat ki haweeqat lekin dil k khush rakhnaye ko ghalib yeh khayal acha hai. |
Umer bhar hum youn hi ghalti kartaye raheye ghalib dhol chehray pay thi aur hum aena saf kartye rahay . |
kis sy mehromi kismat ki shikayat kijiye k hum nay jo chaha tha k mar jaen so woh bhi na howa |
Wada anay ka wafa kijiye yeh kiya andaz hai tum nay kyn sonpi hai mere ghar ki darbani mujhey |
Guzar jaye ga yeh dor bhi ghalib zara itmenan tu rakh khushi na theri tu gham ki kiya auqat hai. |
Mein mout sy nhi darta lekin waba e aam mein marna mujhey kabol nhi . |
Jala hai jism jahan dil bhi jal gaya hoga kardetay ho jo ab rakh justajo kiya hai.. |
Meri kismat mein ghum agr itna tha dil bhi yarab kae diye hotay.. |
Ghalib humein na cherh k phr josh e ashq sy bethay hein hum tahaya tufan kiye howaye. |
Mujh sy mat keh tu humein kehta tha apni zindgi ,zindgi sy bhi mera ji inn dino bezar hai. |
Bas k dushwar hai har kam ka asan hona admi ko bho moyasar nhi insan hona |
Iss sadgi py ko na mar jaye aye khuda ladhtaye hein aur hath mein talwar bhi nhi |
Ishq nay ghalib nikama kardiya warna hum bhi admi thay kam k |
Zindgi mein tu woh mehfil sy utha detay thay dekhon ab margaye par kon uthata hai mujhey . |
Jatye howaye kehtay ho qayamat ko milein gaye kiya khub qayamat ka hai goya koi din aur |
Hazaron khawishein aesi k har khawish pay dam niklaye bohat niklye mere arman lekin phr bhi kam niklaye. |
Yeh na thi humari kismat k wisal e yar hota agar aur jeetay rehtay yehi intazar hota. |
Bagh mein mujh ko na laye ja warna meray hal par har Gul tar ek chashm e kho fishan hojaye ga. |
Ya rab na woh na samjhye hein na samjhein gaye meri baat daye aur dil unko jo na daye mujh ko zaban aur. |
Read more ----> Mirza Ghalib Poetry
kahon kis say mein k kiya hai ? shab e gham buri bala hai mujhey kiya bura tha marna agar ek bar hota. |
Jala hai jism jahan dil bhi jal gaya hoga kar detay ho jo aab rakh justajo kiya hai |
Jab tawaqa hi uth gae ghalib kyn kisi ka gila karaye koi. |
Kehtay hein jetay hein umeed py log hum ko jeenay ki bhi umeed nhi. |
Qasid k atay atay khat ek aur likh rakhon mein janta hun jo woh likhein gaye jawab mein. |
Bana k fakeron ka hum behss ghalib tamasaye ahlye karam dekhtay hein. |
Awaz daye k chup gae har bar zindgi hum aesay sada dil thay har bar agaye. |
howi mudat k ghalib mar gaya par yaad ata hai woh har ek baat par kehna k youn hota tu kiya hota. |